Rang badalta rehta hai ye pani
Tere mere mizaaj ki tarah
Kabhi hasta
Kabhi shant sochta hua
Kabhi hai dikhta itna khubsurat bas nazar hatae nahi hat ti
Kabhi badalo se ek hone ko bekarar lehron se bhara
Jab badal baras jae to sharmake ho jae laal
Ek pal lage hai kahi door
Ek kadam kya badhaya maine
Baahon me gher lia usne
Rang badalta rehta hai ye pani
Tere mere mizaaj ki tarah
Bichad ke chale jau
Rehta hai wahi kehte hue
Jao leke meri yaadein
Aoge wapas kabhi to
Milunga yahi.. usi rang me.. jo tumhara hoga..
No comments:
Post a Comment