Rang badalta rehta hai ye pani Tere mere mizaaj ki tarah Kabhi hasta Kabhi shant sochta hua Kabhi hai dikhta itna khubsurat bas nazar hatae nahi hat ti Kabhi badalo se ek hone ko bekarar lehron se bhara Jab badal baras jae to sharmake ho jae laal Ek pal lage hai kahi door Ek kadam kya badhaya maine Baahon me gher lia usne
Rang badalta rehta hai ye pani Tere mere mizaaj ki tarah Bichad ke chale jau Rehta hai wahi kehte hue Jao leke meri yaadein Aoge wapas kabhi to Milunga yahi.. usi rang me.. jo tumhara hoga..